Neya ik rabt peda kiun karain hum
Bicharna hai tu jagra kiun karain hum
Kamoshi se ada ho rasam-e-doori
Koi hangama bherpa kiun karain hum
Ye kafi hai k hum dushman nahi hain
Wafadari ka dawa kiun karain hum
Wafa, iklas, qurbani, mohabat
Ab in lafzoon ka picha kiun karain hum
Humari hi tamana kiun karo tum
Tumhari hi tamana kiun karain hum
Kia aahad jab lamhoon humne
Tu sari umer eefa kiun karain hum
Berhana hain sare bazaar tu kia
Bala andoon se perda kiun karain hum
--------------
Ager kabhi meri yaad aay
Tu chand ratoon ki naram di-geer roshani main
Kisi sitare ko deekh lena
Ager wo nakhl-e-falakh se ur ker tumhare qadmoon main agire tu
Ye jaan lena, wo istiara tha mere dil ka,
Ager na aay…..
Mager ye mumkin hi kis terhan hai k tum kisi per nigah daloo
Tu uski diware jaan na toote
Wo apni hasti na bool jay
Ager kabhi meri yaad aay
Gurez kerti hawa ki lahroon pe hath rakhna
Main kushboon main tumhain miloon ga
Mujay goolabon ki pation main talash kerna
Main oos qatroon k aainon main tumhain milon ga
Ager sitaroon main, oos qatroon main, kushboon main, na paao mujh ko
Tu apne qadmoom main geekh lena
Main garad hoti musaftoon main tumhain millon ga
Kahin pe rooshan chirag dekho tu jaan lena
K her patange ke sath main bhi bekhar choka hoon
Tum apne hatoon se in patangoon ki kaakh derya main daal dena
Main kaakh ban ker samandaron min safer karoon ga
Kisi an deekhe jazeere pe rukh ker tum ko sadain doon ga
Samandaron k safer pe niklo ti is jazere p bhi uterna